Hello Dosto Mera nam Hai Prafull Aur aap padh rahe hai technology Pustika Aaj ki Is post me ham dekhne vale hai Ki khud ke number Par WhatsApp Massage Kaise Kare aur apna Khud ka number kaise save kare
Dosto yadi aapka koi Important Document hai To aap use surakshit rakhane ke liye aap kisi bhi relative ko Massage Ya documents send kar dete hai Ye aap chahate hai ki hamara massage kisike pass na jaye to aap kya karte hai ki ek group banate hai aur usme kisiko add karke fir us ko remove kar dete hai. Badme aap apne documents Pdf Vaha par rakhte hai.
Lekin ab aapko Ab koi bhi group create karne ki jaroorat nahi hai ya fir kisi relative ko Massage send karne ki jaroorat nahi hai.
Aaj ki is post me ham aapko ek aisa tarika batane vale hai jisase aap Apne khud ke number par Documents send karke unhe surakshit rakh sakte hai aur jaroorat padne par dekh bhi sakte hai.
To Chaliye Dosto Dekhte hai ki kaise aap apne Number par WhatsApp Pe message send kar sakte hai.
STEP BY STEP
Sabse pehle aapko apne mobile ka konsa bhi browser ho use open kar lena hai aur uske badd aapko Serch box me Type karna hai
wa.me.//. aur uske aage 91 likhake aapka number enter kar dena hai jaise ki nicche dikhaya gaya hai.
wa.me.//91YourNumber
Aur fir uske bad aapke serch botton par click kar dena hai . search karne ke bad aapke samne Kuch
Is prakar ka interface aayega aur usme likha hai ki Share karne ke liye tap kar. Fir aapko is par click kar dena hai jaise hi aap us par click karenge to woh page redirect hoge WhatsApp me chala jayega
Ab aapke samne aapka khud ka number show ho raha hoga aap us number par matlab aapke khud ke number par jo bhi massage send karenge wo massage Turant hi Seen ho jayega yaniki wo aapka hi number hai isliye wo massage turant hi seen ho ja raha hai is prakar se aap apne number par koi bhi documents surakshit rakh sakte hai aur koi bhi massage pdf send kar sakte hai .
To aapne dekha ki kaise ham apne khud ke hi number pe massage ya fir jaroori documents save karke rakh sakte hai
To Chaliye ab dekhte hai ki kaise ham khud ka number Save kar sakte Hai
Iske liye sabse pehle aapko apne Phonebook me chale jana hai
Uske badd aapko vaha create ka option show hoga nahi to ADD yani ki + icon show hoga us par aapko click kar dena hai uske badme aapko create new contact option najar aayega us par aapko click kar dena hai.
Ab aapko sari information fill up karni hai jaise ki Nam ki jagah par aapko apna Nam dal Lena hai ya fir aap jo nam rakhna chahe hai rakh sakte hai. uske basd aapko number ki jagah par apna number dal dena hai yaha par aapko apna khud ka number dalna hai .
Iske bad aapko save par click kar dena hai
Ab aapka contact Save ho gaya hai Isase aap search box me apna Nam ya aapne jis nam se contact Save kiya hai us nam se search karke Us par click karke WhatsApp me redirect ho sakte hai or fir aap Apne hi number par massage send kar sakte hai.
To Aaj ki is post me hamne jana ki kaise ham khud ke number par WhatsApp massage kar sakte hai or Khud ka WhatsApp number save kar sakte hai .
अगर आपको यह पोस्ट अच्छी लगी हो तो आपके दोस्तों के साथ इस पोस्ट को शेयर करें और ऐसी नई नई टेक्नॉलॉजी से जुड़ी जानकारी के लिए हमारे ब्लॉग को फॉलो कीजिए हम और हां नीचे कमेंट में जरूर बताएं कि यह पोस्ट आपको कैसी लगी और इस पोस्ट में आपको क्या कमियां नजर आई वह भी हमको नीचे कमेंट में जरूर बताएं.
हम आपके लिए रोज नई जानकारी लाते रहेंगे हमारी इस पोस्ट को पढ़ने के लिए आपका शुक्रिया आप हमें ऐसा ही सपोर्ट करते रहिए . धन्यवाद🚩
Tip- लेखक बनने के लिए या हमारे साथ काम करने के लिए हमें व्हाट्सएप या फिर ईमेल करे
THANK YOU
Please comment and Contact Us
6 Comments
Super
ReplyDelete😲😲Wow
ReplyDeleteAmazing👍👍👍
ReplyDeleteThanks For Support 💯🙏
ReplyDeleteSo good trick🙏
ReplyDeleteSuper bro
ReplyDeletePost a Comment
Thanks For Reeding this Blog. Please Comment Us