Hello Dosto Mera nam Hai Prafull Aur aap padh rahe hai technology Pustika Aaj ki Is post me ham dekhne Wale Hai Ki option trading kya hoti hai but Iske bare mein Ham Jyada Nahin janenge aur aaj Ham janenge ki option trading mein first date aur expiry date yani ki last date kya hoti hai to Chaliye doston Shuru Karte Hain 

             Sabse pahle Ham dekhte hain ki option trading kya hoti hai . Option trading share market ka ek Aisa part Hai jismein Humko lagta hai short term Mein market Upar Jayegi ya niche Jayegi Agar Upar jaane wali Hai To Ham call option bye karte hain aur Agar Humko lagta hai ki market niche Jayegi To Ham put option bye karte hain aur isi opposite seling yani ki Humko lagta hai ki market Upar Jayegi To Ham put option Sel kar dete hain aur Agar Humko lagta hai ki market niche Jayegi To Ham call option Sel kar dete Hain isase kya hota hai ki Humko market jahan tak Jayegi vahan Tak jaane ke liye profit Hota rahata

               Agar aapko option trading ke bare mein aur Jankari chahie to aap Hamen comment Karke bata sakte hain Ham is topic per Ek post Puri option trading per Dalenge . Agar aapko option trading pata hai aur usmein aapko call option or put option ke bare mein jyada Jankari nahin hai to aap niche Di Gai post pad sakte hain. 

       Click Here To Call Put Option. 


        Ab Ham Jante Hain Ki option trading Mein first date aur expiry date kya hoti hai. 

          1) First Date. 

                Option ki first date hoti hai expiry ke aage Wala Bhi yani ki Shukrawar option trading ka first De hota hai Shukrawar is var ko option Byers aur seller option Sel or bye Karte Hain. Is Din Ko liye Gaye option expiry date ko beche Jaate Hain yah option trading intraday or delivery bhi ho sakti hai yani ki Shukrawar ko liye Gaye option Shukrawar ke din hi beche aur liye Ja sakte hain aur delivery yani ki yah option Shukrawar ko Lekar expiry ke din ko beche Jaate Hain. Is Din Ko share Bajar ka shuruaati din bhi bola Ja sakta hai is Din Ko Jyada Kuchh kharidi aur bikri Nahin Hoti Hai Kyunki yah pahla Din Hota Hai option trading ka is Din Ko premium Hike hone ki vajah se log kharidi aur bikri Kafi kam Karte Hain isliye market Upar Jyada Nahin Hota aur Jaise Jaise expiry date Aate jata hai premium utna kam kam Hota jata hai isliye log Jyada khareed aur bikri karne Lagte Hain iski vajah se expiry Aate Tak market Mein utar-chadhav Jyada hone Lagte Hain

          2) Expiry Date. 

                 Yah date option training ka sabse last wala date hota hai yani ki guruwar is din ke bad se naye option Sel aur bye kiye Jaate Hain guruwar ke din share Bajar Mein sabse Jyada utaar chadhav aata hai Kyunki yah last Din Hota Hai Sher yani ki option bye aur Sel karne ka Agar Kisi Ne yah hold Kiye Hai option to Uske option guruwar ke din 3:30 Baje apne aap Sel ya FIR bye Ho Jaate Hain yani ki use bye aur Sel sirf 3:30 ke andar hi karna Hota Hai yah Din share market ka sabse bada Aur mahatvpurn Din Hota Hai is Din Ko expiry date Kahate Hain yani ki guruwar ko expiry date Kahate Hain Use short Mein expiry Kaha jata hai. Is Din Ko share Bajar mein sabse Jyada volitility yani ki Adhik Praman mein bikri ya FIR kharidari hoti hai Kyunki is Din price bahut Upar niche Hota rahata Hai is Din Kisi Ka bahut jyada profit hota hai to Kisi Ka loss expiry ke din premium Kafi kam kimat per Milte Hain yani ki first date ko jo Sher Ka premium hai vah ₹100 hoga to expiry Wale Din vah premium 30-40 rupaye per a sakta hai per expiry ke 3:30 baje tak vah premium 0 jata hai.

         To yah the share Bajar ke option trading ke first date aur expiry date I hop ki aapko option trading ke first date or expiry date samajh Aayi Hogi Agar aapko Aisi nai nai share market se Judi jankari chahie to Aap Hamare block ko follow kar sakte hain aur is post ko Apne doston ko Shayad share kar sakte hain isase kya hoga ki aapke dost bhi yah samajh Jaenge ki option trading kya hoti hai aur iski first date aur expiry date Kaisi hoti hai to ise Apne 3-4 doston ke sath Jarur share Karen aur unhen bataen ki aapko is post Se Kya sikhane Ko Mila isase vah is post ko Dhyan se padhenge aur samjhenge ki expiry date aur first date kya hoti hai.

        

            Agar Abhi tak Aapke pas Ek Demate Account nahi hai to niche diye gaye link se aap Free me Demate account Khol sakte hai . Agar aapko account kholne me pareshani hai to aap hamse puch sakte hai.

     CLICK HERE To Open Demate Account In Groww

  

      हम आपके लिए रोज नई जानकारी लाते रहेंगे हमारी इस पोस्ट को पढ़ने के लिए आपका शुक्रिया आप हमें ऐसा ही सपोर्ट करते रहिए . धन्यवाद🚩🚩


Tip- लेखक बनने के लिए या हमारे साथ काम करने के लिए हमें व्हाट्सएप या फिर ईमेल करे 


                        THANK YOU 

Please comment and Contact Us